main aur main!
maiñ huuñ maiñ
vo jis kī āñkhoñ meñ jiite jāgte dard haiñ
dard ki jin kī ham-rāhī meñ dil raushan hai
dil jis se maiñ ne ik din ik ahd kiyā thā
ahd ki donoñ ek hī aag meñ jalte raheñge
aag ki jis meñ jal kar jism huā ḳhākistar
jism ki jis ke kachche zaḳhm bahut dukhte the
zaḳhm ki jin kā marham vaqt ke paas nahīñ hai
vaqt ki jis kī zad meñ saare sayyāre haiñ
sayyāre jo qaa.em haiñ apnī hī kashish par
aur kashish ke tāne-bāne TuuT chale haiñ
kaun tamāshā.ī hai? maiñ huuñ... aur tamāshā
maiñ huuñ maiñ!
main hun main
wo jis ki aankhon mein jite jagte dard hain
dard ki jin ki ham-rahi mein dil raushan hai
dil jis se main ne ek din ek ahd kiya tha
ahd ki donon ek hi aag mein jalte rahenge
aag ki jis mein jal kar jism hua KHakistar
jism ki jis ke kachche zaKHm bahut dukhte the
zaKHm ki jin ka marham waqt ke pas nahin hai
waqt ki jis ki zad mein sare sayyare hain
sayyare jo qaem hain apni hi kashish par
aur kashish ke tane-bane TuT chale hain
kaun tamashai hai? main hun aur tamasha
main hun main!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.