main aur mera KHuda
lākhoñ shakloñ ke mele meñ tanhā rahnā merā kaam
bhes badal kar dekhte rahnā tez havāoñ kā kohrām
ek taraf āvāz kā sūraj ek taraf ik gūñgī shaam
ek taraf jismoñ kī ḳhushbū ek taraf us kā anjām
ban gayā qātil mere liye to apnī hī nazroñ kā daam
sab se baḌā hai naam ḳhudā kā us ke baad hai merā naam
lakhon shaklon ke mele mein tanha rahna mera kaam
bhes badal kar dekhte rahna tez hawaon ka kohram
ek taraf aawaz ka suraj ek taraf ek gungi sham
ek taraf jismon ki KHushbu ek taraf us ka anjam
ban gaya qatil mere liye to apni hi nazron ka dam
sab se baDa hai nam KHuda ka us ke baad hai mera nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.