main aur meri tanhai
ham samundar se milne zarā der se pahuñche
raat samundar se ziyādā gahrī ho rahī thī
ham nañge paañv sāhil ke saath
bahut duur tak chale
dinoñ ke ba.ad sarshārī ne apnā chehrā dikhāyā thā
aur hamārī bhūlī huī dhun gungunā.ī thī
samundar hamārī ḳhāmoshī meñ Dūbne hī vaalā thā
jab hamārā giit patvār huā
ajnabī qadmoñ ke nishān chunte hue
ḳhayāl aayā
chahal-qadmī karte hue vo do saa.e kyā hue
ye lahreñ jin ke paañv churā laa.ī haiñ
tabhī ham ne apne jūtoñ meñ jhāñk kar dekhā
sāhil abhī puurī tarah nahīñ phislā thā
ham ne sochā
samundar ko ab so jaanā chāhiye
raat kī ḳhunkī hamārī ragoñ meñ utar chukī thī
jab ham vāpsī ke liye muḌe
samundar baḌī garm-joshī ke saath hameñ ruḳhsat karne aayā
ġhunūda chāñd raushan huā
aur hameñ ghar tak chhoḌne kī zid kī
ham ne dabe-pāñv ūñghte darvāze par dastak dī
jahāñ udāsī der se hamārā intizār kar rahī thii!
hum samundar se milne zara der se pahunche
raat samundar se ziyaada gahri ho rahi thi
hum nange panw sahil ke sath
bahut dur tak chale
dinon ke baad sarshaari ne apna chehra dikhaya tha
aur hamari bhuli hui dhun gungunai thi
samundar hamari KHamoshi mein Dubne hi wala tha
jab hamara git patwar hua
ajnabi qadmon ke nishan chunte hue
KHayal aaya
chahal-qadmi karte hue wo do sae kya hue
ye lahren jin ke panw chura lai hain
tabhi hum ne apne juton mein jhank kar dekha
sahil abhi puri tarah nahin phisla tha
hum ne socha
samundar ko ab so jaana chahiye
raat ki KHunki hamari ragon mein utar chuki thi
jab hum wapsi ke liye muDe
samundar baDi garm-joshi ke sath hamein ruKHsat karne aaya
ghunuda chand raushan hua
aur hamein ghar tak chhoDne ki zid ki
hum ne dabe-panw unghte darwaze par dastak di
jahan udasi der se hamara intizar kar rahi thi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.