main aur shahr
saḌkoñ pe be-shumār gul-e-ḳhūñ paḌe hue
peḌoñ kī Dāliyoñ se tamāshe jhaḌe hue
koThoñ kī mamTiyoñ pe hasīñ but khaḌe hue
sunsān haiñ makān kahīñ dar khulā nahīñ
kamre saje hue haiñ magar rāsta nahīñ
vīrāñ hai puurā shahr koī dekhtā nahīñ
āvāz de rahā huuñ koī boltā nahīñ
saDkon pe be-shumar gul-e-KHun paDe hue
peDon ki Daliyon se tamashe jhaDe hue
koThon ki mamTiyon pe hasin but khaDe hue
sunsan hain makan kahin dar khula nahin
kamre saje hue hain magar rasta nahin
viran hai pura shahr koi dekhta nahin
aawaz de raha hun koi bolta nahin
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 134)
- Author : faarooq argalii
- Publication : farid book depot (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.