main aur tum
Interesting Fact
(Nayi Qadren, Hyderabad, Sindh, Yearly: February-March 1973)
maiñ maiñ huuñ
tum tum ho
aur donoñ ke dard judā haiñ
tum sachchā.ī ke dīvāne the
jo mujh meñ nahīñ thī
maiñ jhūTā us sach se Dartā thā
jo rūhoñ ko patthar kar detā hai
ab donoñ jhūTe aur sachche
apne apne jhuuT aur sach par
nādim haiñ
main main hun
tum tum ho
aur donon ke dard juda hain
tum sachchai ke diwane the
jo mujh mein nahin thi
main jhuTa us sach se Darta tha
jo ruhon ko patthar kar deta hai
ab donon jhuTe aur sachche
apne apne jhuT aur sach par
nadim hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.