main aur tum
tum sūraj maiñ rang-e-kiran
tum sāgar ho maiñ mauj-e-magan
tum khulā samundar maiñ qatra
tum sach ho aur maiñ afsāna
tum raushan din maiñ shab-zādī
tum raushaniyāñ phailāte ho
zarra zarra chamkāte ho
maiñ ek pujāran dev-dāsī
chupke se bāhar aatī huuñ
aur kirnoñ kī is barkhā meñ
apnā tan-man nahlātī huuñ
tum jīvan-jot jagāte ho
aur mujh ko bhī chamkāte ho
tum rang bharā madhū-shālā ho
aur maiñ to ḳhālī pyāla huuñ
tum dhartī kā ujyālā ho
maiñ raat kā gahrā sannāTā
tum jhilmil jhilmil maalā ho
maiñ pair meñ chubhtā ik kāñTā
har mausam kā ho ruup bhī tum
saaya bhī tum ho dhuup bhī tum
maiñ kaun huuñ koī batā.e to
is gutthī ko suljhā.e to
tum suraj main rang-e-kiran
tum sagar ho main mauj-e-magan
tum khula samundar main qatra
tum sach ho aur main afsana
tum raushan din main shab-zadi
tum raushaniyan phailate ho
zarra zarra chamkate ho
main ek pujaran dew-dasi
chupke se bahar aati hun
aur kirnon ki is barkha mein
apna tan-man nahlati hun
tum jiwan-jot jagate ho
aur mujh ko bhi chamkate ho
tum rang bhara madhu-shaala ho
aur main to KHali pyala hun
tum dharti ka ujyala ho
main raat ka gahra sannaTa
tum jhilmil jhilmil mala ho
main pair mein chubhta ek kanTa
har mausam ka ho rup bhi tum
saya bhi tum ho dhup bhi tum
main kaun hun koi batae to
is gutthi ko suljhae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.