main aur wo
roz-e-azal se vo bhī mujh tak aane kī koshish meñ hai
roz-e-azal se maiñ bhī us se milne kī koshish meñ huuñ
lekin maiñ aur vo ham donoñ
apnī apnī shakloñ jaise lākhoñ gorakh dhandoñ meñ
chup chup aur hairān khaḌe haiñ
kaun hai maiñ
aur kaun hai tū
bas is dard meñ kho.e hue haiñ
sub.h ko milne vaale samjheñ
jaise ye to ro.e hue haiñ
roz-e-azal se wo bhi mujh tak aane ki koshish mein hai
roz-e-azal se main bhi us se milne ki koshish mein hun
lekin main aur wo hum donon
apni apni shaklon jaise lakhon gorakh dhandon mein
chup chup aur hairan khaDe hain
kaun hai main
aur kaun hai tu
bas is dard mein khoe hue hain
subh ko milne wale samjhen
jaise ye to roe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.