main aurat zat hun mujhko wafa karne ki aadat hai
maiñ aurat zaat huuñ mujh ko vafā karne kī aadat hai
kabhī rītoñ rivājoñ se
kabhī sūkhe gulāboñ se
kabhī kuchh aise ḳhvāboñ se ki jin kī kirchiyāñ chun kar mirī poreñ huiiñ chhalnī
kabhī us āshiyāne se ki jis kā ek ik tinkā sub.h se shaam hone tak vafā se maiñ ne joḌā ho
kabhī maiñ sūrat-e-havvā kabhī maiñ aks-e-mariyam huuñ
misāl-e-chādar-e-zainab baḌhā.ūñ maan zahrā kā
mire azm-e-safar meñ aaj tak laġhzish nahīñ aa.ī
maiñ har ik imtihāñ meñ sūrat-e-kohsār Thahrī huuñ
zamāne ke savāloñ ko javāban ek hī fiqra mire kahne ko kaafī hai
maiñ aurat zaat huuñ mujh ko vafā karne kī aadat hai
vafā karne kī aadat hai
main aurat zat hun mujh ko wafa karne ki aadat hai
kabhi riton riwajon se
kabhi sukhe gulabon se
kabhi kuchh aise KHwabon se ki jin ki kirchiyan chun kar meri poren huin chhalni
kabhi us aashiyane se ki jis ka ek ek tinka subh se sham hone tak wafa se main ne joDa ho
kabhi main surat-e-hawwa kabhi main aks-e-mariyam hun
misal-e-chadar-e-zainab baDhaun man zahra ka
mere azm-e-safar mein aaj tak laghzish nahin aai
main har ek imtihan mein surat-e-kohsar Thahri hun
zamane ke sawalon ko jawaban ek hi fiqra mere kahne ko kafi hai
main aurat zat hun mujh ko wafa karne ki aadat hai
wafa karne ki aadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.