main!
maiñ jiitā huuñ ā.īnoñ meñ
ā.īne ġham-ḳhāne haiñ
merā aks banā lete haiñ apnī apnī marzī se
maiñ jiitā huuñ kuchh sīnoñ meñ
siine ā.īna-ḳhāne haiñ
merā naqsh banā lete haiñ apnī apnī marzī se
maiñ jiitā huuñ miTTī par
miTTī jis se ghar bante haiñ
jis se qabreñ bantī haiñ
jis kā zarra zarra auroñ kā hai
un kā jin meñ maiñ huuñ
jo mujh meñ haiñ
aks kahā karte haiñ dekho tum aise ho
naqsh kahā karte haiñ aise ban sakte ho
zarre kahte haiñ tum aise ban jāoge
tum batlā sakte ho āḳhir maiñ kyā huuñ
tum kyā batlāoge
tum ḳhud ā.īna-ḳhāna ho
ġham-ḳhāna ho
ghar ho
qabr ho
tum ḳhud maiñ'' ho''
main jita hun aainon mein
aaine gham-KHane hain
mera aks bana lete hain apni apni marzi se
main jita hun kuchh sinon mein
sine aaina-KHane hain
mera naqsh bana lete hain apni apni marzi se
main jita hun miTTi par
miTTi jis se ghar bante hain
jis se qabren banti hain
jis ka zarra zarra auron ka hai
un ka jin mein main hun
jo mujh mein hain
aks kaha karte hain dekho tum aise ho
naqsh kaha karte hain aise ban sakte ho
zarre kahte hain tum aise ban jaoge
tum batla sakte ho aaKHir main kya hun
tum kya batlaoge
tum KHud aaina-KHana ho
gham-KHana ho
ghar ho
qabr ho
tum KHud main ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.