main bach gai man
maiñ bach ga.ī maañ
maiñ bach ga.ī maañ
tire kachche lahū kī mehñdī
mire por por meñ rach ga.ī maañ
maiñ bach ga.ī maañ
gar mere naqsh ubhar aate
vo phir bhī lahū se bhar jaate
mirī āñkheñ raushan ho jaatī to
tezāb kā surma lag jaatā
saTTe-vaTTe meñ baT jaatī
be-kārī meñ kaam aa jaatī
har ḳhvāb adhūrā rah jaatā
mirā qad jo thoḌā sā baḌhtā
mire baap kā qad chhoTā paḌtā
mirī chunarī sar se Dhalak jaatī
mire bhaa.ī kī pagḌī gir jaatī
tirī lorī sunñe se pahle
apnī niiñd meñ so ga.ī maañ
anjān nagar se aa.ī thī
anjān nagar meñ kho ga.ī maañ
maiñ bach ga.ī maañ
maiñ bach ga.ī maañ
main bach gai man
main bach gai man
tere kachche lahu ki mehndi
mere por por mein rach gai man
main bach gai man
gar mere naqsh ubhar aate
wo phir bhi lahu se bhar jate
meri aankhen raushan ho jati to
tezab ka surma lag jata
saTTe-waTTe mein baT jati
be-kari mein kaam aa jati
har KHwab adhura rah jata
mera qad jo thoDa sa baDhta
mere bap ka qad chhoTa paDta
meri chunari sar se Dhalak jati
mere bhai ki pagDi gir jati
teri lori sunne se pahle
apni nind mein so gai man
anjaan nagar se aai thi
anjaan nagar mein kho gai man
main bach gai man
main bach gai man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.