main bhi masiha hun
naam be-shak aam aadmī ho
par maiñ to masīhā huuñ
kāñdhe par apne karmoñ kī salīb
duur se tamāshā.ī mere habīb
mere rishte mere farz
merā biite vaqt kī parchhā.iyāñ
sab mujh par koḌe barsāte
le jā raheñ haiñ ajnabī se maqām par
la.anteñ barsāte mere naam par
mujhe roz dhakkiyāte
aur is par majbūrī ki
mujhe ḳhāmosh rahnā hai
sab chup-chāp sahnā hai
koī na maane kī maiñ kyā huuñ
par maiñ bhī masīhā huuñ
nam be-shak aam aadmi ho
par main to masiha hun
kandhe par apne karmon ki salib
dur se tamashai mere habib
mere rishte mere farz
mera bite waqt ki parchhaiyan
sab mujh par koDe barsate
le ja rahen hain ajnabi se maqam par
lanten barsate mere nam par
mujhe roz dhakkiyate
aur is par majburi ki
mujhe KHamosh rahna hai
sab chup-chap sahna hai
koi na mane ki main kya hun
par main bhi masiha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.