main
merā jism
ye niilā gahrā phailtā paanī
us kī lahr lahr se ubhrā
mere lahū kā chāñd
us ke andar phūTe
tere jism se naram kañval
us ke ufuq se niklā chamkā
merā soch kā sūraj
kaun kahe maiñ ḳhākī huuñ
miTTī to bojhal
baiTh ga.ī to baiTh ga.ī
maiñ paanī kā sañgīt
maiñ bahtā dariyā
lahū kā chāñd kañval kā jhūlā soch kā sūraj
kaise kaise bahtā jaa.e
mera jism
ye nila gahra phailta pani
us ki lahr lahr se ubhra
mere lahu ka chand
us ke andar phuTe
tere jism se naram kanwal
us ke ufuq se nikla chamka
mera soch ka suraj
kaun kahe main KHaki hun
miTTi to bojhal
baiTh gai to baiTh gai
main pani ka sangit
main bahta dariya
lahu ka chand kanwal ka jhula soch ka suraj
kaise kaise bahta jae
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-262 p-250)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.