main ghair-mahfuz raat se Darta hun
raat ke farsh par
maut kī āhaTeñ
phir koī dar khulā
kaun is ghar ke pahre pe māmūr thā
kis ke bāloñ kī laT
kis ke kānoñ ke dur
kis ke hāthoñ kā zar, surḳh dahlīz par qāsidoñ ko milā?
koī pahre pe ho to gavāhī mile
ye shikasta shajar
ye shikasta shajar jis ke paañv meñ ḳhud apne saa.e kī mauhūm zanjīr hai
ye shikasta shajar to muhāfiz nahīñ
ye shikasta shajar to sipāhī nahīñ
shab se Dartā huuñ maiñ
ek tasvīr-e-be-rañg hai sāmne jis se Dartā huuñ maiñ
ek sūrat ki jis ke ḳhad-o-ḳhāl kī merī sub.h-e-hunar
se shanāsā.ī hai
us se Dartā huuñ maiñ
ek sho.ala ki ab tak ḳhas-e-jāñ meñ thaa, us kā sarkash sharar
kāġhazoñ meñ, makānoñ meñ, bāġhoñ meñ hai
us kī mānūs hiddat se Dartā huuñ maiñ
ek āvāz kohsār-e-tafrīq par jo saf-ārā haiñ vo apne bhaa.ī nahīñ
is sadā rū-ba-sahrā se Dartā huuñ maiñ
shab se Dartā huuñ maiñ
raat ke farsh par
maut ki aahaTen
phir koi dar khula
kaun is ghar ke pahre pe mamur tha
kis ke baalon ki laT
kis ke kanon ke dur
kis ke hathon ka zar, surKH dahliz par qasidon ko mila?
koi pahre pe ho to gawahi mile
ye shikasta shajar
ye shikasta shajar jis ke panw mein KHud apne sae ki mauhum zanjir hai
ye shikasta shajar to muhafiz nahin
ye shikasta shajar to sipahi nahin
shab se Darta hun main
ek taswir-e-be-rang hai samne jis se Darta hun main
ek surat ki jis ke KHad-o-KHal ki meri subh-e-hunar
se shanasai hai
us se Darta hun main
ek shoala ki ab tak KHas-e-jaan mein tha, us ka sarkash sharar
kaghazon mein, makanon mein, baghon mein hai
us ki manus hiddat se Darta hun main
ek aawaz kohsar-e-tafriq par jo saf-ara hain wo apne bhai nahin
is sada ru-ba-sahra se Darta hun main
shab se Darta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.