main
hayāt ke bahr-e-be-karāñ meñ misāl-e-qatra huuñ aur kyā huuñ
magar shu.ūr-e-ḳhudī hai mujh ko maiñ apnī hastī se āshnā huuñ
ye mere sāz-e-anā kī lai hai jo bazm-e-ālam meñ gūñjtī hai
vo jis meñ hastī kā zer-o-bam hai maiñ jazba-e-dil kī vo sadā huuñ
fanā kī tez aur tund āñdhī meñ zau-fishāñ jo rahī hamesha
hayāt kā nuur mujh meñ pinhāñ jahāñ meñ ik mash.al-e-baqā huuñ
mire hī zauq-e-nazar se qaa.em hai rang gulzār-e-zindagī kā
bahār zer-e-qadam hai jis ke maiñ vo nasīm-e-latīf-pā huuñ
mirī nazar kī tajalliyoñ meñ ye māh-o-anjum kī raushnī hai
ujālā kaun-o-makāñ meñ jis se maiñ vo shuā-e-tajallī-zā huuñ
hayat ke bahr-e-be-karan mein misal-e-qatra hun aur kya hun
magar shuur-e-KHudi hai mujh ko main apni hasti se aashna hun
ye mere saz-e-ana ki lai hai jo bazm-e-alam mein gunjti hai
wo jis mein hasti ka zer-o-bam hai main jazba-e-dil ki wo sada hun
fana ki tez aur tund aandhi mein zau-fishan jo rahi hamesha
hayat ka nur mujh mein pinhan jahan mein ek mashal-e-baqa hun
mere hi zauq-e-nazar se qaem hai rang gulzar-e-zindagi ka
bahaar zer-e-qadam hai jis ke main wo nasim-e-latif-pa hun
meri nazar ki tajalliyon mein ye mah-o-anjum ki raushni hai
ujala kaun-o-makan mein jis se main wo shua-e-tajalli-za hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.