main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun
maiñ jinsī khel ko sirf ik tan-āsānī samajhtā huuñ
zarīya aur hai ma.abūd se milne kā duniyā meñ
taḳhayyul kā baḌā sāgar tasavvur ke hasīñ jhoñke
liye aate haiñ bārish meñ tamannā.eñ ibādat kī
magar puurī nahīñ hotī tamannā dil kī chāhat kī
kisī aurat kā pairāhan kisī ḳhalvat kī ḳhushbueñ
kisī ik lafz-e-be-ma.anī kī mīThī mīThī sargoshī
yahī chīzeñ mire ġhamgīñ ḳhayāloñ par hamesha chhā.ī rahtī haiñ
ibādat kā tarīqa harkateñ haiñ tishna o mub.ham
kabhī rūh-e-sanam bedār ḳhvāb-e-marg-e-muhmal se
kisī indar-sabhā kī laakh pariyāñ aa ke bahlā.eñ
lubhāte naach nācheñ aur rasīle raag bhī gaa.eñ
magar ye murda-dil aadī hai bas ġhamgīñ ḳhayāloñ kā
ghaTā aatī nahīñ ḳhushiyoñ kī bārish lā nahīñ saktī
mirī rūh-e-hazīñ mahkūm hai apne ta.assur kī
zarīya aur hai ma.abūd se milne kā duniyā meñ
maiñ jinsī khel ko kyuuñ ik tan-āsānī samajhtā huuñ
kabhī insāñ kī umr-e-muḳhtasar par ġhaur kartā huuñ
kabhī faanī tamannāoñ kī jhīloñ meñ yūñhī khoyā sā phirtā huuñ
main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun
zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein
taKHayyul ka baDa sagar tasawwur ke hasin jhonke
liye aate hain barish mein tamannaen ibaadat ki
magar puri nahin hoti tamanna dil ki chahat ki
kisi aurat ka pairahan kisi KHalwat ki KHushbuen
kisi ek lafz-e-be-mani ki miThi miThi sargoshi
yahi chizen mere ghamgin KHayalon par hamesha chhai rahti hain
ibaadat ka tariqa harkaten hain tishna o mubham
kabhi ruh-e-sanam bedar KHwab-e-marg-e-muhmal se
kisi indar-sabha ki lakh pariyan aa ke bahlaen
lubhate nach nachen aur rasile rag bhi gaen
magar ye murda-dil aadi hai bas ghamgin KHayalon ka
ghaTa aati nahin KHushiyon ki barish la nahin sakti
meri ruh-e-hazin mahkum hai apne tassur ki
zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein
main jinsi khel ko kyun ek tan-asani samajhta hun
kabhi insan ki umr-e-muKHtasar par ghaur karta hun
kabhi fani tamannaon ki jhilon mein yunhi khoya sa phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.