maiñ kā.enāt meñ sayyāroñ meñ bhaTaktā thā
dhueñ meñ dhuul meñ uljhī huī kiran kī tarah
maiñ is zamīñ pe bhaTaktā rahā huuñ sadiyoñ tak
girā hai vaqt se kaT kar jo lamha us kī tarah
vatan milā to galī ke liye bhaTaktā rahā
galī meñ ghar kā nishāñ DhūñDtā rahā barsoñ
tumhārī ruuh meñ ab jism meñ bhaTaktā huuñ
laboñ se chuum lo āñkhoñ se thaam lo mujh ko
tumhārī kokh se janmūñ to phir panāh mile!
main kaenat mein sayyaron mein bhaTakta tha
dhuen mein dhul mein uljhi hui kiran ki tarah
main is zamin pe bhaTakta raha hun sadiyon tak
gira hai waqt se kaT kar jo lamha us ki tarah
watan mila to gali ke liye bhaTakta raha
gali mein ghar ka nishan DhunDta raha barson
tumhaari ruh mein ab jism mein bhaTakta hun
labon se chum lo aankhon se tham lo mujh ko
tumhaari kokh se janmun to phir panah mile!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.