main kaun hun
kis se pūchhūñ ki jhuuT sach kyā hai
tīrgī kyā hai raushnī kyā hai
kaun me.ayār-e-ḳhair-o-shar samjhā.e
kaun takzīb-e-jabr-o-jahl kare
vaqt kis samt hai ravāñ paiham
vaj.h-e-taḳhlīq-o-irtiqā kyā hai
zindagī vahm hai haqīqat hai
shajar-e-dard-e-sāya-e-ġham hai
kis se mafhūm-e-mā-o-man pūchhūñ
kaun taqdīr-e-husn-o-ishq batā.e
kis se pūchhūñ salīb-o-dār kā raaz
azmat-e-jām-e-zahr kaun batā.e
aql-o-dānish pe kufr ke fatve
fikr-o-fan par hai tohmat-e-ilhād
is taqaddus-ma.āb duniyā meñ
kis se pūchhūñ maiñ kaun huuñ kyā huuñ
koī afsāna koī ḳhvāb huuñ maiñ
koī tahrīr-e-nā-tamām huuñ maiñ
koī sahrā-e-dard-o-karb huuñ maiñ
ḳhauf-o-ḳhadshāt ke jahannum meñ
kitnī sadiyoñ se jal rahā huuñ maiñ
kis se puchhun ki jhuT sach kya hai
tirgi kya hai raushni kya hai
kaun meayar-e-KHair-o-shar samjhae
kaun takzib-e-jabr-o-jahl kare
waqt kis samt hai rawan paiham
wajh-e-taKHliq-o-irtiqa kya hai
zindagi wahm hai haqiqat hai
shajar-e-dard-e-saya-e-gham hai
kis se mafhum-e-ma-o-man puchhun
kaun taqdir-e-husn-o-ishq batae
kis se puchhun salib-o-dar ka raaz
azmat-e-jam-e-zahr kaun batae
aql-o-danish pe kufr ke fatwe
fikr-o-fan par hai tohmat-e-ilhad
is taqaddus-maab duniya mein
kis se puchhun main kaun hun kya hun
koi afsana koi KHwab hun main
koi tahrir-e-na-tamam hun main
koi sahra-e-dard-o-karb hun main
KHauf-o-KHadshat ke jahannum mein
kitni sadiyon se jal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.