main kuchh bhi kah na paya
tāñge kā ek ghoḌā
lañgDā thā thoḌā thoḌā
pūchhā jo maiñ ne us se
kyā paañv meñ hai phoḌā
bolā ye zulm mujh par
ik aadmī ne toḌā
pahle to us ne mujh ko
tāñge meñ lā ke joḌā
phir us ko ḳhuub bhar kar
bolā ki chal manoḌā
jab maiñ khisak na paayā
lahrāyā us ne koḌā
maarā mujhe taḌātaḌ
phir dum ko bhī maroḌā
maiñ bilbilā ke bhāgā
bas ban gayā bhagoḌā
ḳhud bhī girā phisal kar
ek ik kā sar bhī phoḌā
us din se aaj tak maiñ
lañgDā huuñ thoḌā thoḌā
ye dāstāñ sunā kar
bolā vo hinhinā kar
maiñ ne to munnū bhaa.ī
tabī.at hai saada paa.ī
ḳhud apne muñh se apnī
kartā nahīñ baḌā.ī
qur.ān-e-pāk ne bhī
merī qasam hai khaa.ī
gar tīsvāñ sipārah
tum ne paḌhā ho bhaa.ī
val-ādiyāt zabhan meñ
baat hai ye aa.ī
insāñ to apne rab se
kartā he bevafā.ī
bas māl-o-zar ke pīchhe
hai zindagī gañvā.ī
ghoḌoñ ne mālikoñ par
hai jaan bhī luTā.ī
ham log hañste gaate
har bojh haiñ uThāte
haiñ jānvar hamesha
insāñ ke kaam aate
māhaul kī kashish bhī
ham log haiñ baḌhāte
dilkash parind pyāre
shāḳhoñ pe chahchahāte
saare namāziyoñ ko
har sub.h haiñ jagāte
phir ḳhud bhī apne rab kī
hamd-o-sanā haiñ gaate
sau sau tarah tumhārā
ham dil bhī haiñ lubhāte
kuchh aise haiñ ki jin se
tum ho davā banāte
kuchh uun tum ko de kar
sardī se haiñ bachāte
kuchh duudh tum ko dete
kuchh gosht haiñ khilāte
gar jānvar na hote
tum ghī kidhar se laate
makkhan panīr anDe
āḳhir kahāñ se khāte
bas kyā kahūñ ki kyā kyā
haiñ fā.ede uThāte
phir bhī haiñ log ham ko
har tarah se satāte
ye baat kahte kahte
dukhḌā ye sab sunāte
aisā vo bilbilāyā
maiñ kuchh bhī kah na paayā
tange ka ek ghoDa
langDa tha thoDa thoDa
puchha jo main ne us se
kya panw mein hai phoDa
bola ye zulm mujh par
ek aadmi ne toDa
pahle to us ne mujh ko
tange mein la ke joDa
phir us ko KHub bhar kar
bola ki chal manoDa
jab main khisak na paya
lahraya us ne koDa
mara mujhe taDataD
phir dum ko bhi maroDa
main bilbila ke bhaga
bas ban gaya bhagoDa
KHud bhi gira phisal kar
ek ek ka sar bhi phoDa
us din se aaj tak main
langDa hun thoDa thoDa
ye dastan suna kar
bola wo hinhina kar
main ne to munnu bhai
tabiat hai sada pai
KHud apne munh se apni
karta nahin baDai
quran-e-pak ne bhi
meri qasam hai khai
gar tiswan siparah
tum ne paDha ho bhai
wal-adiyat zabhan mein
baat hai ye aai
insan to apne rab se
karta he bewafai
bas mal-o-zar ke pichhe
hai zindagi ganwai
ghoDon ne malikon par
hai jaan bhi luTai
hum log hanste gate
har bojh hain uThate
hain jaanwar hamesha
insan ke kaam aate
mahaul ki kashish bhi
hum log hain baDhate
dilkash parind pyare
shaKHon pe chahchahate
sare namaziyon ko
har subh hain jagate
phir KHud bhi apne rab ki
hamd-o-sana hain gate
sau sau tarah tumhaara
hum dil bhi hain lubhate
kuchh aise hain ki jin se
tum ho dawa banate
kuchh un tum ko de kar
sardi se hain bachate
kuchh dudh tum ko dete
kuchh gosht hain khilate
gar jaanwar na hote
tum ghi kidhar se late
makkhan panir anDe
aaKHir kahan se khate
bas kya kahun ki kya kya
hain faede uThate
phir bhi hain log hum ko
har tarah se satate
ye baat kahte kahte
dukhDa ye sab sunate
aisa wo bilbilaya
main kuchh bhi kah na paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.