main kya banunga
jo hai baat sachchī vo tum se kahūñgā
baḌā ho ke yaaro suno kyā banūñgā
maiñ netā banūñgā na daulat ke bal par
chalūñgā hamesha hī rāh-e-amal par
na chhoḌūñgā maiñ aaj kā kaam kal par
sadā be-ġharaz desh sevā karūñgā
baḌā ho ke yaaro suno kyā banūñgā
sipāhī banūñgā magar shāñtī kā
sabaq dūñgā maiñ pyaar kā dostī kā
sañvāruñgā saarā chaman zindagī kā
maiñ kāñToñ meñ bhī phuul ban kar khilūñgā
baḌā ho ke yaaro suno kyā banūñgā
kabhī seTh ban kar na lūñgā ġhulāmī
karūñgā na mazdūr se bad-kalāmī
na zālim ko dūñgā kabhī maiñ salāmī
ki maiñ sach kī ḳhātir har ik dukh sahūñgā
baḌā ho ke yaaro suno kyā banūñgā
ye byopārīyoñ ke fareboñ ke phande
ye daulat kī ḳhātir milāvaT ke dhande
dukhī kar rahe haiñ ye lālach ke bande
unheñ to sazā.eñ maiñ de kar rahūñgā
baḌā ho ke yaaro suno kyā banūñgā
na motor na bangle na koī ḳhazāna
mujhe chāhiye pyaar kā ik tarāna
likhūñgā maiñ insāniyat kā fasāna
maiñ insān ban kar jahāñ meñ rahūñgā
baḌā ho ke yaaro suno kyā banūñgā
jo hai baat sachchi wo tum se kahunga
baDa ho ke yaro suno kya banunga
main neta banunga na daulat ke bal par
chalunga hamesha hi rah-e-amal par
na chhoDunga main aaj ka kaam kal par
sada be-gharaz desh sewa karunga
baDa ho ke yaro suno kya banunga
sipahi banunga magar shanti ka
sabaq dunga main pyar ka dosti ka
sanwarunga sara chaman zindagi ka
main kanTon mein bhi phul ban kar khilunga
baDa ho ke yaro suno kya banunga
kabhi seTh ban kar na lunga ghulami
karunga na mazdur se bad-kalami
na zalim ko dunga kabhi main salami
ki main sach ki KHatir har ek dukh sahunga
baDa ho ke yaro suno kya banunga
ye byopariyon ke farebon ke phande
ye daulat ki KHatir milawaT ke dhande
dukhi kar rahe hain ye lalach ke bande
unhen to sazaen main de kar rahunga
baDa ho ke yaro suno kya banunga
na motor na bangle na koi KHazana
mujhe chahiye pyar ka ek tarana
likhunga main insaniyat ka fasana
main insan ban kar jahan mein rahunga
baDa ho ke yaro suno kya banunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.