main kyun bhul jaun
tirī chashm-e-mai guuñ kā labrez sāġhar
javānī tirī kaif-āvar javānī
gulistāñ dar āġhosh-e-husn-e-tabassum
vo tere lab-e-surḳh kī gul-fishānī
takallum ke andāz ḳhāmoshiyoñ meñ
zabān-e-nazar par hayā kī kahānī
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
vo sāñsoñ kī tezī vo siine kī dhaḌkan
vo donoñ kā chhup-chhup ke aañsū bahānā
vo tajdīd-e-ulfat ke sau-sau bahāne
vo ik dūsre se yuuñ hī ruuTh jaanā
vo tark-e-mohabbat ke ilzām de kar
kisī kā kisī ko hañsī meñ rulānā
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
vo pās-e-adab vo ḳhulūs-e-mohabbat
vafūr-e-tamannā meñ ḳhāmosh rahnā
vo nazzārgī meñ tahayyur kā aalam
ḳhud apnī nigāhoñ se ḳhāmosh rahnā
razā-jū-tabī.at vo ta.alīm-koshī
ġham-o-rañj meñ bhī vafā-kosh rahnā
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
savāloñ kā tūmār mub.ham zabāñ meñ
magar rāz-e-dil kā na iz.hār karnā
nigāheñ milāne meñ to ik jhijhak sī
magar dil hī dil meñ mujhe pyaar karnā
vo arz-e-mohabbat pe ma.asūm va.ade
vo luknat zabāñ kī vo iqrār karnā
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
tirī chashm-e-pur-nam vo mas.ūd saa.at
yaqīñ ban gayā jab gumān-e-mohabbat
mohabbat ke din aur vo furqat kī rāteñ
duā.eñ thiiñ jab tarjumān-e-mohabbat
vo ḳhat jin kā har lafz ik dāstāñ thā
vo jazbāt se pur-bayān-e-mohabbat
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
vo chhiTkī huī chāñdnī kī bahāreñ
vo gul-posh rāteñ vo dilkash nazāre
manāzir simaTte hue aabjū meñ
falak par chamakte hue chāñd taare
vo thak kar kisī kā yuuñ hī baiTh jaanā
vo uThnā kisī kā kisī ke sahāre
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
vo tūfān-e-jazbāt-o-zor-e-tamannā
vo josh-e-mohabbat vo pur-shauq bāteñ
vo ghaḌiyāñ vo ārām-o-rāhat kī ghaḌiyāñ
vo farhat ke din vo masarrat kī rāteñ
vo ghāteñ vo ghātoñ ke parde meñ va.ade
vo va.ade vo va.adoñ ke parde meñ ghāteñ
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
ma.āl-e-masarrat vo majbūr aañsū
vo kaif-e-tarb kā ġham-anjām honā
pur-ilzām bāteñ vo sab kī zabāñ par
mohabbat ke qisse kā vo aam honā
vo bargashta-ḳhātir buzurgoñ kī bāteñ
vo ma.asūm rūhoñ kā badnām honā
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
vo din tafraqa-ḳhez majbūriyoñ kā
fareb-e-muqaddar kī vo chīra-dastī
ḳhumār-e-mai aish aur nā-murādī
vo marg-e-tamannā vo anjām-e-mastī
rusūm-e-kuhan kī sitam-āfrīnī
zamāne kā jaur-e-qadāmat-parastī
tū hī mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ
teri chashm-e-mai gun ka labrez saghar
jawani teri kaif-awar jawani
gulistan dar aaghosh-e-husn-e-tabassum
wo tere lab-e-surKH ki gul-fishani
takallum ke andaz KHamoshiyon mein
zaban-e-nazar par haya ki kahani
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo sanson ki tezi wo sine ki dhaDkan
wo donon ka chhup-chhup ke aansu bahana
wo tajdid-e-ulfat ke sau-sau bahane
wo ek dusre se yun hi ruTh jaana
wo tark-e-mohabbat ke ilzam de kar
kisi ka kisi ko hansi mein rulana
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo pas-e-adab wo KHulus-e-mohabbat
wafur-e-tamanna mein KHamosh rahna
wo nazzargi mein tahayyur ka aalam
KHud apni nigahon se KHamosh rahna
raza-ju-tabiat wo talim-koshi
gham-o-ranj mein bhi wafa-kosh rahna
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
sawalon ka tumar mubham zaban mein
magar raaz-e-dil ka na izhaar karna
nigahen milane mein to ek jhijhak si
magar dil hi dil mein mujhe pyar karna
wo arz-e-mohabbat pe masum wade
wo luknat zaban ki wo iqrar karna
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
teri chashm-e-pur-nam wo masud saat
yaqin ban gaya jab guman-e-mohabbat
mohabbat ke din aur wo furqat ki raaten
duaen thin jab tarjuman-e-mohabbat
wo KHat jin ka har lafz ek dastan tha
wo jazbaat se pur-bayan-e-mohabbat
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo chhiTki hui chandni ki bahaaren
wo gul-posh raaten wo dilkash nazare
manazir simaTte hue aabju mein
falak par chamakte hue chand tare
wo thak kar kisi ka yun hi baiTh jaana
wo uThna kisi ka kisi ke sahaare
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo tufan-e-jazbaat-o-zor-e-tamanna
wo josh-e-mohabbat wo pur-shauq baaten
wo ghaDiyan wo aaram-o-rahat ki ghaDiyan
wo farhat ke din wo masarrat ki raaten
wo ghaten wo ghaton ke parde mein wade
wo wade wo wadon ke parde mein ghaten
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
maal-e-masarrat wo majbur aansu
wo kaif-e-tarb ka gham-anjam hona
pur-ilzam baaten wo sab ki zaban par
mohabbat ke qisse ka wo aam hona
wo bargashta-KHatir buzurgon ki baaten
wo masum ruhon ka badnam hona
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo din tafraqa-KHez majburiyon ka
fareb-e-muqaddar ki wo chira-dasti
KHumar-e-mai aish aur na-muradi
wo marg-e-tamanna wo anjam-e-masti
rusum-e-kuhan ki sitam-afrini
zamane ka jaur-e-qadamat-parasti
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.