main nachiz
bahut se log hote haiñ
jinheñ kahnā jinheñ sunñā nahīñ aatā
sadā.eñ apne pahlū ko jhaTak kar
kaan meñ āvāz bhartī haiñ
sadāoñ ke kaTahre se ka.ī bāġhī hamesha
bhaag jaate haiñ
maiñ apne vaqt kī bāġhī sadā huuñ
aur merā naam uzmā hai
mujhe 'naqvī' bhī kahte haiñ
mujhe harf-e-ziyā par jugnuoñ se daad miltī hai
mirā adabī nasab-nāma ziyā.ī hai
magar duniyā mujhe
ik āftābī shahr kahtī hai
bahut se log hote hain
jinhen kahna jinhen sunna nahin aata
sadaen apne pahlu ko jhaTak kar
kan mein aawaz bharti hain
sadaon ke kaTahre se kai baghi hamesha
bhag jate hain
main apne waqt ki baghi sada hun
aur mera nam uzma hai
mujhe 'naqwi' bhi kahte hain
mujhe harf-e-ziya par jugnuon se dad milti hai
mera adabi nasab-nama ziyai hai
magar duniya mujhe
ek aaftabi shahr kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.