main nafi mein
nahīñ maiñ nahīñ huuñ
kisī dūsre ne mujhe ''maiñ'' kahā hai
to meñ ho gayā huuñ
nafas khīñchtā huuñ
magar zindagī merī ḳhvāhish nahīñ hai
mujhe zindagī ne chunā hai
lihāza mire faisle zindagī kar rahī
maiñ rotā nahīñ huuñ
mirī aañkh se os ke phuul
ġham kī havā.eñ girātī haiñ
kaliyāñ hañsī kī
mire lab pe khiltī nahīñ haiñ
ḳhushī kī bahāreñ khilātī haiñ
ḳhud aatī jaatī haiñ dil meñ tamannā.eñ
maiñ kab bulātā huuñ
(merī kamā.ī
faqat nā-rasā.ī hai)
maiñ ne mohabbat bhī kab muntaḳhab kī hai
us ne mujhe apnī fahrist meñ likh liyā hai
mujhe ḳhvāb aate nahīñ haiñ
so ḳhvāboñ ne tai kar liyā hai
ki ā.inda vo merī āñkhoñ ke bosoñ se
kosoñ ke lambe safar par chaleñge
nahīñ maiñ kavī bhī nahīñ huuñ
mujhe nazm likhtī hai
maiñ nazm likhtā nahīñ huuñ
nahin main nahin hun
kisi dusre ne mujhe main kaha hai
to mein ho gaya hun
nafas khinchta hun
magar zindagi meri KHwahish nahin hai
mujhe zindagi ne chuna hai
lihaza mere faisle zindagi kar rahi
main rota nahin hun
meri aankh se os ke phul
gham ki hawaen giraati hain
kaliyan hansi ki
mere lab pe khilti nahin hain
KHushi ki bahaaren khilati hain
KHud aati jati hain dil mein tamannaen
main kab bulata hun
(meri kamai
faqat na-rasai hai)
main ne mohabbat bhi kab muntaKHab ki hai
us ne mujhe apni fahrist mein likh liya hai
mujhe KHwab aate nahin hain
so KHwabon ne tai kar liya hai
ki aainda wo meri aankhon ke boson se
koson ke lambe safar par chalenge
nahin main kawi bhi nahin hun
mujhe nazm likhti hai
main nazm likhta nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.