main nashe mein hun
haḌtāl karne se na Talo maiñ nashe meñ huuñ
ai ġhair-mulkiyoñ kī kalo maiñ nashe meñ huuñ
merā julūs le ke chalo maiñ nashe meñ huuñ
phir ḳhaak sab ke muñh pe malo maiñ nashe meñ huuñ
''yāro mujhe maaf rakho maiñ nashe meñ hūñ''
''ab do to jaam ḳhālī hī do maiñ nashe meñ hūñ''
ghoḌe pe maiñ savār huuñ sunte ho paidalo
mujh par savār nashsha hai maiñ us ke huuñ jilau
jalsoñ meñ jab bhī jaao mujhe saath le chalo
aur ḳhālī-ḳholī na.aroñ se phir muuñg bhī dalo
''ek ek fart-e-daur meñ yūñhī mujhe bhī do''
''jām-e-sharāb pur na karo maiñ nashe meñ hūñ''
is qaum kī falāh hai jām-o-subū ke bech
tum intiḳhāb jā ke laḌo hāv-hū ke biich
dushnām aur balvoñ ke aur dū-ba-dū ke biich
jaise ki koī baiThā ho bazm-e-adū ke biich
''mastī se darhamī hai mirī guftugū ke bīch''
''jo chāho tum bhī mujh ko kaho maiñ nashe meñ hūñ''
maiñ rahnumā-e-qaum huuñ, ye ho chukā hai tai
khātā rahā huuñ gāliyāñ maazī meñ pai-ba-pai
guzrī hai umar jail meñ lekin ye tā-ba-kai
merā julūs le ke mirī qaum jab chale
''yā hāthoñ-hāth lo mujhe mānind-e-jām-e-mai''
''yā thoḌī duur saath chalo maiñ nashe meñ hūñ''
mujh par bhī vaqt aa ke paḌe haiñ yahāñ kaḌe
ye vo zamīñ hai jis pe gire haiñ baḌe baḌe
tum kyuuñ ukhāḌte ho vo murde jo haiñ gaḌe
dekhe nahīñ haiñ tum ne jo chikne the vo ghaḌe
''ma.azūr huuñ jo paañv mirā be-tarah paḌe''
''tum sargirāñ to mujh se na ho maiñ nashe meñ hūñ''
ye baat aql meñ bhī samātī nahīñ hai kuchh
shohrat to muft vote dilātī nahīñ hai kuchh
īmān-dārī kaam banātī nahīñ hai kuchh
laTh kī zabān bhī mujhe aatī nahīñ hai kuchh
bhāgī tumhārī raa.e to jaatī nahīñ hai kuchh
''chaltā huuñ maiñ bhii, Tuk to raho, maiñ nashe meñ huuñ
aayā hai vaqt aisā jo pahle na thā kabhī
dushvār rāsta bhī hai manzil hai duur abhī
public se jhūTe va.ade bhī kar lete haiñ sabhī
maiñ nai bhī iḳhtiyār kī ye policy jabhī
''nāzuk-mizāj aap qayāmat haiñ 'mīr'-jī''
''jūñ shīsha mere muñh na lago maiñ nashe meñ hūñ''
badmast ho ga.e ho election meñ 'ja.afarī'
sar meñ nashe ke saath hai saudā-e-rahbarī
tum kas jagah ke pañch ho kyā hai briādrī
kyuuñ DhūñDte ho mulk meñ jo vote ho frē
tum hosh meñ nahīñ ho to hai baat dūsrī
ye kah ke ghar meñ baiTh raho maiñ nashe meñ huuñ
haDtal karne se na Talo main nashe mein hun
ai ghair-mulkiyon ki kalo main nashe mein hun
mera julus le ke chalo main nashe mein hun
phir KHak sab ke munh pe malo main nashe mein hun
yaro mujhe maf rakho main nashe mein hun
ab do to jam KHali hi do main nashe mein hun
ghoDe pe main sawar hun sunte ho paidalo
mujh par sawar nashsha hai main us ke hun jilau
jalson mein jab bhi jao mujhe sath le chalo
aur KHali-KHoli naron se phir mung bhi dalo
ek ek fart-e-daur mein yunhi mujhe bhi do
jam-e-sharab pur na karo main nashe mein hun
is qaum ki falah hai jam-o-subu ke bech
tum intiKHab ja ke laDo haw-hu ke bich
dushnam aur balwon ke aur du-ba-du ke bich
jaise ki koi baiTha ho bazm-e-adu ke bich
masti se darhami hai meri guftugu ke bich
jo chaho tum bhi mujh ko kaho main nashe mein hun
main rahnuma-e-qaum hun, ye ho chuka hai tai
khata raha hun galiyan mazi mein pai-ba-pai
guzri hai umar jail mein lekin ye ta-ba-kai
mera julus le ke meri qaum jab chale
ya hathon-hath lo mujhe manind-e-jam-e-mai
ya thoDi dur sath chalo main nashe mein hun
mujh par bhi waqt aa ke paDe hain yahan kaDe
ye wo zamin hai jis pe gire hain baDe baDe
tum kyun ukhaDte ho wo murde jo hain gaDe
dekhe nahin hain tum ne jo chikne the wo ghaDe
mazur hun jo panw mera be-tarah paDe
tum sargiran to mujh se na ho main nashe mein hun
ye baat aql mein bhi samati nahin hai kuchh
shohrat to muft wote dilati nahin hai kuchh
iman-dari kaam banati nahin hai kuchh
laTh ki zaban bhi mujhe aati nahin hai kuchh
bhagi tumhaari rae to jati nahin hai kuchh
chalta hun main bhi, Tuk to raho, main nashe mein hun
aaya hai waqt aisa jo pahle na tha kabhi
dushwar rasta bhi hai manzil hai dur abhi
public se jhuTe wade bhi kar lete hain sabhi
main nai bhi iKHtiyar ki ye policy jabhi
nazuk-mizaj aap qayamat hain 'mir'-ji
jun shisha mere munh na lago main nashe mein hun
badmast ho gae ho election mein 'jafari'
sar mein nashe ke sath hai sauda-e-rahbari
tum kas jagah ke panch ho kya hai briadri
kyun DhunDte ho mulk mein jo wote ho free
tum hosh mein nahin ho to hai baat dusri
ye kah ke ghar mein baiTh raho main nashe mein hun
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 169)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.