maine akasr KHwab mein dekha
maiñ ne akasr ḳhvāb meñ dekhā
ḳhauf tarāshe kohsāroñ kī god meñ jaise
ik pathrīlī qabr banī hai
qabr kī ujlī peshānī par
dhuñdle maile shīshe kī taḳhtī ke pīchhe
terā naam likhā hai
terā merā naam ki jis meñ
shīshe patthar jaisī koī baat nahīñ hai
terī shohrat meñ bhī
merī rusvā.ī kā haat nahīñ hai
phir bhī
socho
maiñ ne akasr ḳhvāb meñ dekhā
main ne akasr KHwab mein dekha
KHauf tarashe kohsaron ki god mein jaise
ek pathrili qabr bani hai
qabr ki ujli peshani par
dhundle maile shishe ki taKHti ke pichhe
tera nam likha hai
tera mera nam ki jis mein
shishe patthar jaisi koi baat nahin hai
teri shohrat mein bhi
meri ruswai ka hat nahin hai
phir bhi
socho
main ne akasr KHwab mein dekha
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 596)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.