Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine jo chaha

mustafa arbab

maine jo chaha

mustafa arbab

MORE BYmustafa arbab

    maiñ ne jo chāhā

    vo ho gayā

    ye aur baat hai

    is hone meñ kitne baras sarf hue

    maiñ ne

    us ḳhūbsūrat laḌkī ke saath

    kitnā vaqt basar kiyā

    ye baat koī vaq.at nahīñ rakhtī

    maiñ us ke paas gayā

    use chūmā

    aur apne bāzūoñ meñ bhar liyā

    sarshārī kahāñ se shurūa hotī hai

    ye maiñ ne jaan liyā

    us had kahāñ ḳhatm hotī hai

    ye bhī ma.alūm ho gayā

    ab zinda rahne koī javāz nahīñ

    main ne jo chaha

    wo ho gaya

    ye aur baat hai

    is hone mein kitne baras sarf hue

    main ne

    us KHubsurat laDki ke sath

    kitna waqt basar kiya

    ye baat koi waqat nahin rakhti

    main us ke pas gaya

    use chuma

    aur apne bazuon mein bhar liya

    sarshaari kahan se shurua hoti hai

    ye main ne jaan liya

    us ki had kahan KHatm hoti hai

    ye bhi malum ho gaya

    ab zinda rahne ka koi jawaz nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now