maine raat se pucha
maiñ ne raat se pūchā
''mere ghar se chorī ho jaane vaalā ḳhvāb
tumhāre paas to nahīñ
mere ham-sā.e ke bachchoñ kā ḳhvāb
gharoñ meñ baiThī javāñ laḌkiyoñ ke ḳhvāb
shahr se hijrat kar jaane vaale saare ḳhvāb
tumhāre paas to nahīñ''?
raat merī āñkhoñ meñ jhāñk kar bolī
''itne saare ḳhvāboñ kā chorī ho jaanā
aur shor na machnā
itne saare ḳhvāboñ kā qatl ho jaanā
aur surāġh na chalnā
itnī saarī lāshoñ kā dariyā meñ bahā diyā jaanā
aur paanī kā rañg na badalnā
kaise mumkin hai
tumhārī marzī ke baġhair
tumhārī shirkat ke baġhair''
phir vo god meñ uThāyā huā chāñd
merī taraf baḌhā kar bolī:
''is ke sar par haath rakho
aur qasam khaao
apnī be-gunāhī kī
apnī ma.asūmiyat kii''
aur maiñ us kā muñh taktā rah gayā
main ne raat se pucha
mere ghar se chori ho jaane wala KHwab
tumhaare pas to nahin
mere ham-sae ke bachchon ka KHwab
gharon mein baiThi jawan laDkiyon ke KHwab
shahr se hijrat kar jaane wale sare KHwab
tumhaare pas to nahin?
raat meri aankhon mein jhank kar boli
itne sare KHwabon ka chori ho jaana
aur shor na machna
itne sare KHwabon ka qatl ho jaana
aur suragh na chalna
itni sari lashon ka dariya mein baha diya jaana
aur pani ka rang na badalna
kaise mumkin hai
tumhaari marzi ke baghair
tumhaari shirkat ke baghair
phir wo god mein uThaya hua chand
meri taraf baDha kar boli:
is ke sar par hath rakho
aur qasam khao
apni be-gunahi ki
apni masumiyat ki
aur main us ka munh takta rah gaya
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 291)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.