maine tumhein chalna sikhaya tha
abhī jaise ye kal kī baat lagtī hai
ki tum chhoTe se guDDe the
tumheñ chalnā nahīñ aatā thā
ghuTnoñ ghuTnoñ chalte the
kabhī kursī kabhī sofa pakaḌ kar jab khaḌe hote
to is chalne kī koshish meñ
tumhāre nanhe-munne paañv aksar Dagmagā jaate
qadam bhī laḌkhaḌā jaate
to maiñ uñglī pakaḌ kar phir tumheñ chalnā sikhātī
phir tumheñ abbū ne ik walker lā diyā
ab tum uḌe phirte kisī ke haath kab aate
phir ik din sub.h jab so kar uThī to maiñ ne dekhā
ki tum binā walker binā koī sahāre apne paañv par khaḌe ho
aur chal rahe ho
phir tum yūñhī chalte rahe chalte rahe chalte rahe
din mahīne aur mahīne sāloñ meñ Dhalte rahe
tum yūñhī chalte rahe
aur chalte chalte ek din
āḳhir itnī duur jā nikle
mirī āñkhoñ se ojhal ho ga.e
maiñ ne tumheñ chalnā sikhāyā thaa!
abhi jaise ye kal ki baat lagti hai
ki tum chhoTe se guDDe the
tumhein chalna nahin aata tha
ghuTnon ghuTnon chalte the
kabhi kursi kabhi sofa pakaD kar jab khaDe hote
to is chalne ki koshish mein
tumhaare nanhe-munne panw aksar Dagmaga jate
qadam bhi laDkhaDa jate
to main ungli pakaD kar phir tumhein chalna sikhati
phir tumhein abbu ne ek walker la diya
ab tum uDe phirte kisi ke hath kab aate
phir ek din subh jab so kar uThi to main ne dekha
ki tum bina walker bina koi sahaare apne panw par khaDe ho
aur chal rahe ho
phir tum yunhi chalte rahe chalte rahe chalte rahe
din mahine aur mahine salon mein Dhalte rahe
tum yunhi chalte rahe
aur chalte chalte ek din
aaKHir itni dur ja nikle
meri aankhon se ojhal ho gae
main ne tumhein chalna sikhaya tha!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.