bint-e-hawwa
tum se sirf ek baar janmī ga.ī huuñ
magar tum to aaj tak
mujh se janm le rahe ho
phir maiñ mahz ik saayā ban kar kyuuñ rah ga.ī
vajūd kyuuñ nahīñ banī
merā paḌāv hamesha
tumhāre añgūThe ke nīche kyuuñ rakhā gayā hai
maiñ tumhāre naam kī sil
apne badan se haTā kar
khulī havā meñ muñh bhar kar saañs lenā chāhtī huuñ
baap bhaa.ī shauhar aur beTe ke ghar ke alāva
merā apnā vatan bhī to honā chāhiye
qaidī āñkhoñ meñ iltijā ke phuul liye
ijāzatoñ ke raah takte takte pañkhuḌiyāñ suukh kar
merī ruuh meñ kāñToñ kī tarah chhīne lagī haiñ
ḳhudārā merī āñkhoñ ko zamīn se itnā kas kar na bāñdho
ki maiñ āsmān ke rang dekhā chāhtī huuñ
aur tumhārī āñkhoñ meñ
sulagtī huī andhī anā kī chiñgāriyoñ ko
apnī rupahlī mohabbatoñ kī phuvār se sard karnā chāhtī huuñ
pairoñ se uTh kar
mere dil meñ tumhāre saath chalne kī ḳhvāhish hai
aur tum mujhe ka.ī rishtoñ kī tanāboñ meñ jakaḌ kar bhī
merī uḌaan se ḳhauf-zada ho
ye jaan kar bhī
ki agar parindoñ ke par kaaT diye jaa.eñ
to phir un ke liye pinjroñ kī zarūrat baaqī nahīñ rahtī
minnatoñ ke dard karte karte
merī zabānoñ kā gosht galne lagā hai
chalo hukm na sahī kam-az-kam
mujhe apnī baat karne kī to āzādī ho
tumhārī kohna rivāyāt kī beḌiyāñ
pinDliyoñ kā gosht kaaT kar
ab merī haDDiyāñ chabānā chāhtī haiñ
maiñ muñh ke bal girī yā ma.azūr huī
to ehtijājan bāñjh ho jā.ūñgī
aur agar meñ bāñjh huī to apne janm ke liye
ā.inda sadī ke kis kī kho meñ utroge
tum se sirf ek bar janmi gai hun
magar tum to aaj tak
mujh se janm le rahe ho
phir main mahz ek saya ban kar kyun rah gai
wajud kyun nahin bani
mera paDaw hamesha
tumhaare anguThe ke niche kyun rakha gaya hai
main tumhaare nam ki sil
apne badan se haTa kar
khuli hawa mein munh bhar kar sans lena chahti hun
bap bhai shauhar aur beTe ke ghar ke alawa
mera apna watan bhi to hona chahiye
qaidi aankhon mein iltija ke phul liye
ijazaton ke rah takte takte pankhuDiyan sukh kar
meri ruh mein kanTon ki tarah chhine lagi hain
KHudara meri aankhon ko zamin se itna kas kar na bandho
ki main aasman ke rang dekha chahti hun
aur tumhaari aankhon mein
sulagti hui andhi ana ki chingariyon ko
apni rupahli mohabbaton ki phuwar se sard karna chahti hun
pairon se uTh kar
mere dil mein tumhaare sath chalne ki KHwahish hai
aur tum mujhe kai rishton ki tanabon mein jakaD kar bhi
meri uDan se KHauf-zada ho
ye jaan kar bhi
ki agar parindon ke par kaT diye jaen
to phir un ke liye pinjron ki zarurat baqi nahin rahti
minnaton ke dard karte karte
meri zabanon ka gosht galne laga hai
chalo hukm na sahi kam-az-kam
mujhe apni baat karne ki to aazadi ho
tumhaari kohna riwayat ki beDiyan
pinDliyon ka gosht kaT kar
ab meri haDDiyan chabana chahti hain
main munh ke bal giri ya mazur hui
to ehtijajan banjh ho jaungi
aur agar mein banjh hui to apne janm ke liye
aainda sadi ke kis ki kho mein utroge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.