Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main rakh deti hun tumhaara nam photographer

Tanveer Anjum

main rakh deti hun tumhaara nam photographer

Tanveer Anjum

MORE BYTanveer Anjum

    log samajhte haiñ

    tumhārā ek naam hai

    magar maiñ jāntī huuñ aisā nahīñ hai

    maiñ to rakh letī huuñ har roz

    tumhārā ek nayā naam

    lo aaj maiñ rakh detī huuñ tumhārā naam

    photographer

    to apne naam ke mutābiq

    tum utāro tasvīroñ meñ

    apnī āñkhkeñ, naak, ruḳhsār aur hoñT

    aur email karte raho mujhe

    taaki maiñ utārtī rahūñ

    tum par se nazar-band

    aur dikhāo apnī muskurāhaT, hañsī aur qahqahe

    taaki maiñ dikhā sakūñ sab ko

    tumhārī ḳhushī

    aur dikhāo apne aañsū

    taaki maiñ unheñ tasvīr se poñchh duuñ

    aur koī dūsrā na dekhe

    apne naam ke mutābiq

    banāo un sab tasvīreñ

    jin se tumheñ mohabbat hai

    taaki maiñ gintī rahūñ unheñ

    aur rakhūñ nazar

    un baḌhtī ghaTtī huī tādād par

    aur ġhaur kartī rahūñ

    un ke ḳhad-o-ḳhāl se zāhir

    un ke kirdār par

    aur chūñki tum nahīñ utaar sakte

    bahut duur se

    merī tasvīr

    maañg lo mujh se merī ek tasvīr email se

    aur apnī mahārat se

    use uupar se joḌ do

    kisī aisī tasvīr meñ

    jo thoḌī ḳhālī ho

    log samajhte hain

    tumhaara ek hi nam hai

    magar main jaanti hun aisa nahin hai

    main to rakh leti hun har roz

    tumhaara ek naya nam

    lo aaj main rakh deti hun tumhaara nam

    photographer

    to apne nam ke mutabiq

    tum utaro taswiron mein

    apni aankhken, nak, ruKHsar aur honT

    aur email karte raho mujhe

    taki main utarti rahun

    tum par se nazar-band

    aur dikhao apni muskurahaT, hansi aur qahqahe

    taki main dikha sakun sab ko

    tumhaari KHushi

    aur dikhao apne aansu

    taki main unhen taswir hi se ponchh dun

    aur koi dusra na dekhe

    apne nam ke mutabiq

    banao un sab ki taswiren

    jin se tumhein mohabbat hai

    taki main ginti rahun unhen

    aur rakhun nazar

    un ki baDhti ya ghaTti hui tadad par

    aur ghaur karti rahun

    un ke KHad-o-KHal se zahir

    un ke kirdar par

    aur chunki tum nahin utar sakte

    bahut dur se

    meri taswir

    mang lo mujh se meri ek taswir email se

    aur apni mahaarat se

    use upar se joD do

    kisi aisi taswir mein

    jo thoDi si KHali ho

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now