main saz DhunDti rahi
ehsās-e-avvalīñ
ek mauhūm iztirāb sā hai
ik talātum sā pech-o-tāb sā hai
umDe aate haiñ ḳhud-ba-ḳhud aañsū
dil pe qaabū na aañkh par qaabū
dil meñ ik dard mīThā mīThā sā
rañg chehre kā phīkā phīkā sā
zulf bikhrī huī pareshāñ-hāl
aap hī aap jī huā hai niDhāl
siine meñ ik chubhan sī hotī hai
āñkhoñ meñ kyuuñ jalan sī hotī hai
sar meñ pinhāñ tasavvur-e-mauhūm
haa.e ye ārzū-e-nā-mālūm
ek naala sā hai baġhair āvāz
ek halchal sī hai na soz na saaz
kyuuñ ye hālat hai be-qarārī kī
saañs bhī khul ke aa nahīñ saktī
ruuh meñ intishār sā kyā hai
dil ko ye intizār sā kyā hai
ehsas-e-awwalin
ek mauhum iztirab sa hai
ek talatum sa pech-o-tab sa hai
umDe aate hain KHud-ba-KHud aansu
dil pe qabu na aankh par qabu
dil mein ek dard miTha miTha sa
rang chehre ka phika phika sa
zulf bikhri hui pareshan-haal
aap hi aap ji hua hai niDhaal
sine mein ek chubhan si hoti hai
aankhon mein kyun jalan si hoti hai
sar mein pinhan tasawwur-e-mauhum
hae ye aarzu-e-na-malum
ek nala sa hai baghair aawaz
ek halchal si hai na soz na saz
kyun ye haalat hai be-qarari ki
sans bhi khul ke aa nahin sakti
ruh mein intishaar sa kya hai
dil ko ye intizar sa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.