main sochta hun
firāq sub.hoñ kī bujhtī kirneñ
visāl shāmoñ kī jaltī sham.eñ
zavāl zardāb ḳhāl-o-ḳhad se aTe zamāne
ye hāñptī dhuup kāñptī chāñdnī se chehre
haiñ mere ehsās kā asāsa
bahār ke be-kanār mausam meñ khilne vaale
tamām phūloñ se phūTte rañg
vahshatoñ meñ ghire
laboñ ke khule darīchoñ se bahne vaale hurūf merī nishāniyāñ haiñ
firaq subhon ki bujhti kirnen
visal shamon ki jalti shamen
zawal zardab KHal-o-KHad se aTe zamane
ye hanpti dhup kanpti chandni se chehre
hain mere ehsas ka asasa
bahaar ke be-kanar mausam mein khilne wale
tamam phulon se phuTte rang
wahshaton mein ghire
labon ke khule darichon se bahne wale huruf meri nishaniyan hain
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 570)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.