main teacher kyon hun
kabhī kabhī ye sochtī huuñ
āḳhir maiñ teacher kyoñ huuñ
kuchh aur na kar sakī
kyā is liye maiñ teacher huuñ
javāb yahī bas aatā hai
sab kuchh kar saktī huuñ
shāyad isī liye maiñ teacher huuñ
nanhe-munne bachchoñ meñ
maiñ apnā bachpan dekhtī huuñ
kisī meñ 'sir-sayyad'
kisī meñ 'kalām' dekhtī huuñ
kabhī kabhī ye sochtī huuñ
ki mujhe sirf kitāboñ ke
nisāb hī paḌhāne haiñ
yā ki un ke zehn kī korī taḳhtī par
kuchh aur likhnā hai
bachche to kachchī miTTī ke londe haiñ
unheñ mujhe hī sañvārnā sajānā hai
aur insāniyat ke sāñche meñ Dhaal kar
ek behtar insān banānā hai
agar maiñ ye sab kuchh kar sakī to
kāmyāb hai merā maqsad
merā kaam se mohabbat
ḳhudā kī ḳhaas rahmat
kabhī kabhī sochtī huuñ
mujhe hī to banānī hai
in naunihāloñ kī shaḳhsiyat
jo aaj kamzor paude haiñ
kal sāya-dār daraḳht hoñge
yahī qaum-o-millat ke baḳht hoñge
shāyad isī liye maiñ teacher huuñ
kabhi kabhi ye sochti hun
aaKHir main teacher kyon hun
kuchh aur na kar saki
kya is liye main teacher hun
jawab yahi bas aata hai
sab kuchh kar sakti hun
shayad isi liye main teacher hun
nanhe-munne bachchon mein
main apna bachpan dekhti hun
kisi mein 'sir-sayyad'
kisi mein 'kalam' dekhti hun
kabhi kabhi ye sochti hun
ki mujhe sirf kitabon ke
nisab hi paDhane hain
ya ki un ke zehn ki kori taKHti par
kuchh aur likhna hai
bachche to kachchi miTTi ke londe hain
unhen mujhe hi sanwarna sajaana hai
aur insaniyat ke sanche mein Dhaal kar
ek behtar insan banana hai
agar main ye sab kuchh kar saki to
kaamyab hai mera maqsad
mera kaam se mohabbat
KHuda ki KHas rahmat
kabhi kabhi sochti hun
mujhe hi to banani hai
in naunihaalon ki shaKHsiyat
jo aaj kamzor paude hain
kal saya-dar daraKHt honge
yahi qaum-o-millat ke baKHt honge
shayad isi liye main teacher hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.