main to jaunga
ghar kī chhat se chāñd par sīḌhī lagā.ūñgā
koī aa.e yā na aa.e maiñ to jā.ūñgā
raat bhar uḌtā phiruñgā maiñ ḳhalāoñ meñ
kal to phir schōl shāyad aa na pā.ūñgā
merī ammī ne to yuuñ hī kah diyā hogā
mil ga.ī koī parī to kheñch lā.ūñgā
chāñdnī aatī hai muñh par niiñd kyā aa.e
maiñ hī naanī jaan ko qisse sunā.ūñgā
ḳhvāb kī filmeñ vahīñ se nashr hotī haiñ
bhuut ban kar maiñ tumheñ 'tāriq' Darā.ūñgā
ghar ki chhat se chand par siDhi lagaunga
koi aae ya na aae main to jaunga
raat bhar uDta phirunga main KHalaon mein
kal to phir school shayad aa na paunga
meri ammi ne to yun hi kah diya hoga
mil gai koi pari to khench launga
chandni aati hai munh par nind kya aae
main hi nani jaan ko qisse sunaunga
KHwab ki filmen wahin se nashr hoti hain
bhut ban kar main tumhein 'tariq' Daraunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.