main tumhaare liye Thahrunga
maiñ tumhāre liye Thahrūñgā ki shāyad aao
aur jab donoñ pahar milte hoñ
ham bhī aapas meñ mileñ
jaise ik roz milā karte the
din ke hañgāme bujhe jaate haiñ
sard hone lagī Dhaltī huī shaam
kashtiyāñ aa ke kināre se lagīñ
jhiil leTī huī mahv-e-ārām
peḌ din bhar kī thakan se bojhal
qurb sarmā kī havā sust-ḳhirām
dil mirā bār-hā aayā hai yahāñ
chal ke us raste se jo uun ke gole kī tarah
mere qadmoñ meñ khulā jaatā thā
phir muḳhil hote hue pattoñ kī sargoshī meñ
ek āvāz ne rah rah ke bulāyā thā mujhe
vaqt kā haath Tahoke se diye jaatā hai
yuuñ hī chalte raho pīchhe kī taraf mat dekho
raat aa jā.egī so jāoge
aur jo guuñj uThā kartī hai
duur vīrānoñ meñ kho jā.egī
main tumhaare liye Thahrunga ki shayad aao
aur jab donon pahar milte hon
hum bhi aapas mein milen
jaise ek roz mila karte the
din ke hangame bujhe jate hain
sard hone lagi Dhalti hui sham
kashtiyan aa ke kinare se lagin
jhil leTi hui mahw-e-aram
peD din bhar ki thakan se bojhal
qurb sarma ki hawa sust-KHiram
dil mera bar-ha aaya hai yahan
chal ke us raste se jo un ke gole ki tarah
mere qadmon mein khula jata tha
phir muKHil hote hue patton ki sargoshi mein
ek aawaz ne rah rah ke bulaya tha mujhe
waqt ka hath Tahoke se diye jata hai
yun hi chalte raho pichhe ki taraf mat dekho
raat aa jaegi so jaoge
aur jo gunj uTha karti hai
dur viranon mein kho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.