main tumhein yaad kar raha tha
jab daraḳht ḳhāmosh the
aur bādal shor kar rahe the
maiñ tumheñ yaad kar rahā thā
jab aurteñ aag raushan kar rahī thiiñ
maiñ tumheñ yaad kar rahā thā
jab maidān se ek bachche kā janāza guzar rahā thā
maiñ tumheñ yaad kar rahā thā
jab qaidiyoñ kī gaaḌī adālat ke sāmne khaḌī thī
maiñ tumheñ yaad kar rahā thā
jab log ibādat-gāhoñ kī taraf jā rahe the
maiñ tumheñ yaad kar rahā thā
jab duniyā meñ har shaḳhs ke paas ek na ek kaam thā
maiñ tumheñ yaad kar rahā thā
jab daraKHt KHamosh the
aur baadal shor kar rahe the
main tumhein yaad kar raha tha
jab aurten aag raushan kar rahi thin
main tumhein yaad kar raha tha
jab maidan se ek bachche ka janaza guzar raha tha
main tumhein yaad kar raha tha
jab qaidiyon ki gaDi adalat ke samne khaDi thi
main tumhein yaad kar raha tha
jab log ibaadat-gahon ki taraf ja rahe the
main tumhein yaad kar raha tha
jab duniya mein har shaKHs ke pas ek na ek kaam tha
main tumhein yaad kar raha tha
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 110)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.