Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main urdu zaban hun

Khalid Mubashshir

main urdu zaban hun

Khalid Mubashshir

MORE BYKhalid Mubashshir

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    mujhe āryāoñ ne paalā

    mirī asl hindostāñ hai

    ki mere lahū se vedoñ āyāt likkhī ga.ī haiñ

    ye raam aur siitā azmat ke qisse ramāyan-kathā.eñ

    krishan aur rādhā ke rangīñ fasāne

    har ik lafz ruuh naġhma-sarā hai

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    vo gautam ki jis ne mohabbat paiġhambarī se jahannam ko jannat banāyā

    magar kis zabāñ meñ

    zarā sochiye kis zabāñ meñ

    vo paalī jo mere gharāne paalī huī thī

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    mujhe dekhnā chāhte ho to aao

    ajantā elora ke ġhāroñ meñ dekho

    ye maiñ huuñ

    mirā husn merī kashish hai abad tak

    mujhe dekhnā chāhte ho to aao

    ashokā lāToñ meñ kanda hurūf-e-muqaddas meñ dekho

    ye maiñ huuñ

    sadāqat adālat tahrīr-e-mohkam

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    mohabbat man-mohnī dāstāñ huuñ

    mirī vus.ateñ be-karāñ haiñ

    ye uttar ye dakhkhin ye pūrab ye pachchhim

    har ik samt mere nishāñ haiñ

    deccan jo kabhī rang-o-harf-o-adā aur chañg-o-sadā se banā ek qaus-e-quzah thā

    tumheñ kuchh ḳhabar hai vo kyā silsila thā

    mūarriḳh se pūchho vo merā jaadū mirā mo.ajiza thā

    maiñ 'ḳhusrav' pyārī 'valī' niyārī 'qulī' dulārī

    ḳhudā-e-suḳhan 'mīr' ke soz-e-pinhāñ maiñ rāzdāñ huuñ

    vo dīvān-e-ġhālib vo shahkār-e-taḳhlīq-e-ādam

    magar us har sher kahtā hai paiham

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    vo 'iqbāl' jo azmat-e-ādamiyyat paiġhāmbar hai

    lahū ke jumūd aur dil ke taġhāful jo nauhagar hai

    vo jis nazar bāl-e-jibrīl ham-safar hai

    vo jis sadā ḳhvāb-e-ġhaflat meñ bad-mast insāniyat ke liye ek bāñg-e-darā hai

    vo jis ḳhudī daur-e-hāzir fir.auniyat ke liye bahr-e-qulzum ke sāhil pe zarb-e-kalīmī nemul-badal hai

    vo jis ne dayār-e-ġhazal se lab-o-āriz-o-zulf jaise anāsir ko bāhar nikālā

    vo 'iqbāl' bhī merī zulfoñ qaidī rahā hai

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    vo 'āzād' āzādi-e-hind ek āshiq

    vo 'āzād' jis fuġhāñ soz-o-mastī

    vo 'āzād' jis sadā sāz-e-hastī

    vo 'āzād' jis suḳhan qaul-e-faisal

    magar qaul-e-faisal ye faisla hai

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    maiñ tārīḳh-o-tahzīb-e-hindostāñ huuñ

    maiñ hindostānī huuñ rashk-e-jahāñ huuñ

    jahān-e-mohabbat maiñ pāsbāñ huuñ

    magar pāsbān-e-vatan mujh ko ġhaddār kahne lage haiñ

    to ġhaddār kahne matlab musalmāñ huuñ maiñ bhī

    musalmān ya.anī ki dahshat jihālat ġhalāzat pahchān huuñ maiñ

    ye pahchān merī ajab sāneha hai

    magar sāneha mādar-e-hind hai ye merā nahīñ hai

    maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ

    mujhe āryāoñ ne paalā

    mirī asl hindostāñ hai

    maiñ hindostānī huuñ hindostāñ huuñ

    magar mere ahl-e-vatan mujh ko ġhaddār kahne lage haiñ

    ba-zāhir to hai garche ye merī zillat

    magar asl meñ mādar-e-hind ye ismat-darī hai

    maiñ urdu zabāñ huuñ

    mujhe āryāoñ ne paalā

    mirī asl hindostāñ hai

    main urdu zaban hun

    mujhe aaryaon ne pala

    meri asl hindostan hai

    ki mere lahu se hi wedon ki aayat likkhi gai hain

    ye ram aur sita ki azmat ke qisse ramayan-kathaen

    krishan aur radha ke rangin fasane

    har ek lafz ki ruh naghma-sara hai

    main urdu zaban hun

    wo gautam ki jis ne mohabbat ki paighambari se jahannam ko jannat banaya

    magar kis zaban mein

    zara sochiye kis zaban mein

    wo pali jo mere gharane ki pali hui thi

    main urdu zaban hun

    mujhe dekhna chahte ho to aao

    ajanta elora ke ghaaron mein dekho

    ye main hun

    mera husn meri kashish hai abad tak

    mujhe dekhna chahte ho to aao

    ashoka ki laTon mein kanda huruf-e-muqaddas mein dekho

    ye main hun

    sadaqat adalat ki tahrir-e-mohkam

    main urdu zaban hun

    mohabbat ki man-mohni dastan hun

    meri wusaten be-karan hain

    ye uttar ye dakhkhin ye purab ye pachchhim

    har ek samt mere nishan hain

    deccan jo kabhi rang-o-harf-o-ada aur chang-o-sada se bana ek qaus-e-quzah tha

    tumhein kuchh KHabar hai wo kya silsila tha

    muarriKH se puchho wo mera hi jadu mera moajiza tha

    main 'KHusraw' ki pyari 'wali' ki niyari 'quli' ki dulari

    KHuda-e-suKHan 'mir' ke soz-e-pinhan ki main raazdan hun

    wo diwan-e-ghaalib wo shahkar-e-taKHliq-e-adam

    magar us ka har sher kahta hai paiham

    main urdu zaban hun

    wo 'iqbaal' jo azmat-e-adamiyyat ka paighambar hai

    lahu ke jumud aur dil ke taghaful ka jo nauhagar hai

    wo jis ki nazar baal-e-jibril ki ham-safar hai

    wo jis ki sada KHwab-e-ghaflat mein bad-mast insaniyat ke liye ek bang-e-dara hai

    wo jis ki KHudi daur-e-hazir ki firauniyat ke liye bahr-e-qulzum ke sahil pe zarb-e-kalimi ki nemul-badal hai

    wo jis ne dayar-e-ghazal se lab-o-ariz-o-zulf jaise anasir ko bahar nikala

    wo 'iqbaal' bhi meri zulfon ka qaidi raha hai

    main urdu zaban hun

    wo 'azad' aazadi-e-hind ka ek aashiq

    wo 'azad' jis ki fughan soz-o-masti

    wo 'azad' jis ki sada saz-e-hasti

    wo 'azad' jis ka suKHan qaul-e-faisal

    magar qaul-e-faisal ka ye faisla hai

    main urdu zaban hun

    main tariKH-o-tahzib-e-hindostan hun

    main hindostani hun rashk-e-jahan hun

    jahan-e-mohabbat ki main pasban hun

    magar pasban-e-watan mujh ko ghaddar kahne lage hain

    to ghaddar kahne ka matlab musalman hun main bhi

    musalman yani ki dahshat jihaalat ghalazat ki pahchan hun main

    ye pahchan meri ajab saneha hai

    magar saneha madar-e-hind ka hai ye mera nahin hai

    main kuchh bhi nahin hun

    mujhe aaryaon ne pala

    meri asl hindostan hai

    main hindostani hun hindostan hun

    magar mere ahl-e-watan mujh ko ghaddar kahne lage hain

    ba-zahir to hai garche ye meri zillat

    magar asl mein madar-e-hind ki hi ye ismat-dari hai

    main urdu zaban hun

    mujhe aaryaon ne pala

    meri asl hindostan hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now