main use waqif-e-ulfat na karun
sochtā huuñ ki bahut sāda-o-māsūm hai vo
maiñ abhī us ko shanāsā-e-mohabbat na karūñ
ruuh ko us kī asīr-e-ġham-e-ulfat na karūñ
us ko rusvā na karūñ vaqf-e-musībat na karūñ
sochtā huuñ ki abhī rañj se āzād hai vo
vāqif-e-dard nahīñ ḳhūgar-e-ālām nahīñ
sahar-e-aish meñ us kī asar-e-shām nahīñ
zindagī us ke liye zahr bharā jaam nahīñ
sochtā huuñ ki mohabbat hai javānī kī ḳhizāñ
us ne dekhā nahīñ duniyā meñ bahāroñ ke sivā
nikhat-o-nūr se labrez nazāroñ ke sivā
sabza-zāroñ ke sivā aur sitāroñ ke sivā
sochtā huuñ ki ġham-e-dil na sunā.ūñ us ko
sāmne us ke kabhī raaz ko uryāñ na karūñ
ḳhalish-e-dil se use dast-o-garebāñ na karūñ
us ke jazbāt ko maiñ sho.ala-ba-dāmāñ na karūñ
sochtā huuñ ki jalā degī mohabbat us ko
vo mohabbat kī bhalā taab kahāñ lā.egī
ḳhud to vo ātish-e-jazbāt meñ jal jā.egī
aur duniyā ko is anjām pe taḌpā.egī
sochtā huuñ ki bahut sāda-o-māsūm hai vo
maiñ use vāqif-e-ulfat na karūñ
sochta hun ki bahut sada-o-masum hai wo
main abhi us ko shanasa-e-mohabbat na karun
ruh ko us ki asir-e-gham-e-ulfat na karun
us ko ruswa na karun waqf-e-musibat na karun
sochta hun ki abhi ranj se aazad hai wo
waqif-e-dard nahin KHugar-e-alam nahin
sahar-e-aish mein us ki asar-e-sham nahin
zindagi us ke liye zahr bhara jam nahin
sochta hun ki mohabbat hai jawani ki KHizan
us ne dekha nahin duniya mein bahaaron ke siwa
nikhat-o-nur se labrez nazaron ke siwa
sabza-zaron ke siwa aur sitaron ke siwa
sochta hun ki gham-e-dil na sunaun us ko
samne us ke kabhi raaz ko uryan na karun
KHalish-e-dil se use dast-o-gareban na karun
us ke jazbaat ko main shoala-ba-daman na karun
sochta hun ki jala degi mohabbat us ko
wo mohabbat ki bhala tab kahan laegi
KHud to wo aatish-e-jazbaat mein jal jaegi
aur duniya ko is anjam pe taDpaegi
sochta hun ki bahut sada-o-masum hai wo
main use waqif-e-ulfat na karun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 27)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.