main wafa ka saudagar
maiñ vafā kā saudāgar
luT ke dasht-o-sahrā se
bastiyoñ meñ aayā huuñ
ḳhvāb-hā-e-armāñ haiñ
yā kuchh ashk ke qatre
zeb-e-tarf-e-mizhgāñ haiñ
jaane kab Dhalak jaa.eñ
taar taar pairāhan
hai lahū meñ tar lekin
jāma-zebī-e-ulfat
laaj tere hāthoñ hai
ik hujūm āñkhoñ kā
chīḳhte savāloñ kā
har jagah hai istāda
maiñ hayāt kā mujrim
aarzū kā mulzim huuñ
koī valvala haijāñ
koī ziist kā armāñ
kuchh nahīñ mire dil meñ
ai hujūm-e-be-pāyāñ
maiñ darīda-pairāhan
sach hai terī bastī meñ
nañg-e-pārsā.ī huuñ
vaj.h-e-sañg-sārī huuñ!
main wafa ka saudagar
luT ke dasht-o-sahra se
bastiyon mein aaya hun
KHwab-ha-e-arman hain
ya kuchh ashk ke qatre
zeb-e-tarf-e-mizhgan hain
jaane kab Dhalak jaen
tar tar pairahan
hai lahu mein tar lekin
jama-zebi-e-ulfat
laj tere hathon hai
ek hujum aankhon ka
chiKHte sawalon ka
har jagah hai istada
main hayat ka mujrim
aarzu ka mulzim hun
koi walwala haijaan
koi zist ka arman
kuchh nahin mere dil mein
ai hujum-e-be-payan
main darida-pairahan
sach hai teri basti mein
nang-e-parsai hun
wajh-e-sang-sari hun!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.