main wahi hun
tirī surma.ī aañkh se bahne vaalā siyah ashk
jis ne malāl oḌh kar terī takmīl kī
maiñ ne jo bhī kiyā
apne andar kā vahshī jagā kar tire sāmne sar-ba-zānū kiyā
yā udāsī ke jabḌe se chhīnī huī ranj kī is ġhazabnāk ḳhurāk se terā dozaḳh bharā
terī takmīl kī
ab mujhe bhī aziyyat kī bābat meñ koī sitāra badan chāhiye
apne andar ke shor-o-shaġhab se nikal kar mirī baat sun
shāḳh-e-ummīd par koī kāñTā khilā
mujh ko vāpas bulā
teri surmai aankh se bahne wala siyah ashk
jis ne malal oDh kar teri takmil ki
main ne jo bhi kiya
apne andar ka wahshi jaga kar tere samne sar-ba-zanu kiya
ya udasi ke jabDe se chhini hui ranj ki is ghazabnak KHurak se tera dozaKH bhara
teri takmil ki
ab mujhe bhi aziyyat ki babat mein koi sitara badan chahiye
apne andar ke shor-o-shaghab se nikal kar meri baat sun
shaKH-e-ummid par koi kanTa khila
mujh ko wapas bula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.