main, wo aur raat
kamre meñ ḳhāmoshī hai aur bāhar raat bahut kaalī hai
ūñche ūñche peḌoñ par siyāhī ne chhāvnī Daalī hai
tez havā kahtī hai pal meñ barkhā aane vaalī hai
vo sola-siñgār kiye apnī hī soch meñ khoī huī hai
sāñsoñ meñ vo gahrā pan hai jaise be-sudh soī huī hai
dil meñ sau armān haiñ lekin merī samt nigāh nahīñ hai
yuuñ baiThī hai jaise us ke dil meñ kisī kī chaah nahīñ hai
kamre mein KHamoshi hai aur bahar raat bahut kali hai
unche unche peDon par siyahi ne chhawni Dali hai
tez hawa kahti hai pal mein barkha aane wali hai
wo sola-singar kiye apni hi soch mein khoi hui hai
sanson mein wo gahra pan hai jaise be-sudh soi hui hai
dil mein sau arman hain lekin meri samt nigah nahin hai
yun baiThi hai jaise us ke dil mein kisi ki chah nahin hai
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.