main zinda hun
āḳhirī raat thī vo
maiñ ne dil se ye kahā
harf jo likkhe ga.e
aur jo zabāñ bolī ga.ī
sabhī be-kār ga.e
maiñ bhī ab haar gayā yaar bhī sab haar ga.e
koī chāra nahīñ juz-tark-e-ta.alluq ai dil
ik sadā aur sahī āḳhirī baar
jism se chheḌā use ruuh se chhū le use
āḳhirī baar bahe sāz-e-badan se koī naġhma koī lai
āḳhirī raat hai ye
āḳhirī baar hai ye zā.iqa-e-bosa-o-lams
āḳhirī baar chhalak jaa.e lahū
garmi-e-jāñ se mahak jaa.e nafas kī ḳhushbū
ḳhvāb meñ ḳhvāb ke mānind utar jā ai dil
āḳhirī raat thī vo
phir guzar kū-e-nadāmat se huā to dekhā
baam raushan hai jo thā
aur darvāze pe dastak hai vahī
merā qātil dar-o-dīvār pe kuchh naqsh banātā hai abhī
uñgliyāñ ḳhuun se tar dil-e-kam-zarf ko hai vāhama-e-arz-e-hunar
din kī har baat huī be-tauqīr
raat hai aur zamīr
chashm hai muntazir-e-ḳhvāb-e-digar
ḳhvāb aate haiñ Thaharte haiñ chale jaate haiñ
aur qātil kī sazā ye bhī ki maiñ zinda huuñ
aaKHiri raat thi wo
main ne dil se ye kaha
harf jo likkhe gae
aur jo zaban boli gai
sabhi be-kar gae
main bhi ab haar gaya yar bhi sab haar gae
koi chaara nahin juz-tark-e-talluq ai dil
ek sada aur sahi aaKHiri bar
jism se chheDa use ruh se chhu le use
aaKHiri bar bahe saz-e-badan se koi naghma koi lai
aaKHiri raat hai ye
aaKHiri bar hai ye zaiqa-e-bosa-o-lams
aaKHiri bar chhalak jae lahu
garmi-e-jaan se mahak jae nafas ki KHushbu
KHwab mein KHwab ke manind utar ja ai dil
aaKHiri raat thi wo
phir guzar ku-e-nadamat se hua to dekha
baam raushan hai jo tha
aur darwaze pe dastak hai wahi
mera qatil dar-o-diwar pe kuchh naqsh banata hai abhi
ungliyan KHun se tar dil-e-kam-zarf ko hai wahama-e-arz-e-hunar
din ki har baat hui be-tauqir
raat hai aur zamir
chashm hai muntazir-e-KHwab-e-digar
KHwab aate hain Thaharte hain chale jate hain
aur qatil ki saza ye bhi ki main zinda hun
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.