majburi
maiñ vo tīsrā huuñ
jo ḳhud ko gunahgār mahsūs karne ko majbūr hotā hai
par vāqiye meñ
har ik hādse kī jagah par
ajab imtihāñ hai
agar chup rahūñ to kabūtar ko khā jaa.e billī
uḌā duuñ
to billī mujhe kostī hai
ki maiñ ne use aaj faaqa karāyā
mirī haar donoñ taraf se hai
aur vo bhī is jañg meñ
jis se merā koī duur kā bhī ta.alluq nahīñ hai
ba-zāhir
main wo tisra hun
jo KHud ko gunahgar mahsus karne ko majbur hota hai
par waqiye mein
har ek hadse ki jagah par
ajab imtihan hai
agar chup rahun to kabutar ko kha jae billi
uDa dun
to billi mujhe kosti hai
ki main ne use aaj faqa karaya
meri haar donon taraf se hai
aur wo bhi is jang mein
jis se mera koi dur ka bhi talluq nahin hai
ba-zahir
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 104)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.