majburi mein Dubi nazm
apne apne ġhamoñ ne hameñ kaisā shākī kiyā hai
mujhe apne seboñ ko
kal shaam se pahle har haal meñ bechnā hai
koī aa.egā insāñ-numā
cycle pe ghisaTtā huā
jis kī qismat kī rekhāoñ meñ
mustaqil tīrgī hai vo merā nishāna
mire peT ne jab
usūl-o-zavābit kā jaama utārā
qavā.ed ko phir apne dil kī galī se nikālā
mujhe kyā jo masjid ke mīnār par ab
mohabbat bhare phuul khilte nahīñ haiñ
sadā-e-muazzin kī kamzor dastak
samā.at ke dar par khaḌī hāñptī hai
mujhe kyā mire ghar kā chūlhā savālī
mirā peT ḳhālī
mujhe apne seboñ ko har haal meñ bechnā hai
vo insāñ-numā cycle pe ghisaTtā huā
aa rahā hai vo merā nishāna
apne apne ghamon ne hamein kaisa shaki kiya hai
mujhe apne sebon ko
kal sham se pahle har haal mein bechna hai
koi aaega insan-numa
cycle pe ghisaTta hua
jis ki qismat ki rekhaon mein
mustaqil tirgi hai wo mera nishana
mere peT ne jab
usul-o-zawabit ka jama utara
qawaed ko phir apne dil ki gali se nikala
mujhe kya jo masjid ke minar par ab
mohabbat bhare phul khilte nahin hain
sada-e-muazzin ki kamzor dastak
samaat ke dar par khaDi hanpti hai
mujhe kya mere ghar ka chulha sawali
mera peT KHali
mujhe apne sebon ko har haal mein bechna hai
wo insan-numa cycle pe ghisaTta hua
aa raha hai wo mera nishana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.