majburi
samajhnā chāhiye majbūriyāñ ahl-e-chaman ko sabz beloñ kī
numū muhtāj hai jin kī hamesha ik sahāre kī
daraḳhtoñ ke tane dīvār phāTak yā muñDereñ hoñ
panaptī haiñ sahāroñ par to ye sarsabz rahtī haiñ
sahāre chhūT jaa.eñ gar
to phir jiine kī majbūrī
kisī nemul-badal ko DhūñD letī hai
vagarna un kī shādābī ḳhizāñ kī nazr hotī hai
mohabbat uns chāhat bhī inhīñ kamzor beloñ ke mushābah haiñ
unheñ bhī ham-navāoñ ham-nashīnoñ ke sahāroñ kī zarūrat hai
sahārā chhūT jaa.e
to unheñ bhī zinda rahne ke liye
nemul-badal darkār hotā hai
nahīñ to bin sahāre dostī rishte marāsim uns chāhat aur ta.alluq
kī ye komal sabz beleñ sab ḳhizāñ kī nazar hoñ
aur vaqt se pahle hī mar jaa.eñ
samajhna chahiye majburiyan ahl-e-chaman ko sabz belon ki
numu muhtaj hai jin ki hamesha ek sahaare ki
daraKHton ke tane diwar phaTak ya munDeren hon
panapti hain sahaaron par to ye sarsabz rahti hain
sahaare chhuT jaen gar
to phir jine ki majburi
kisi nemul-badal ko DhunD leti hai
wagarna un ki shadabi KHizan ki nazr hoti hai
mohabbat uns chahat bhi inhin kamzor belon ke mushabah hain
unhen bhi ham-nawaon ham-nashinon ke sahaaron ki zarurat hai
sahaara chhuT jae
to unhen bhi zinda rahne ke liye
nemul-badal darkar hota hai
nahin to bin sahaare dosti rishte marasim uns chahat aur talluq
ki ye komal sabz belen sab KHizan ki nazar hon
aur waqt se pahle hi mar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.