majburiyan
mujhe nafrat nahīñ hai ishqīya ash.ār se lekin
abhī in ko ġhulamabad meñ maiñ gā nahīñ saktā
mujhe nafrat nahīñ hai husn-e-jannat-zār se lekin
abhī dozaḳh meñ is jannat se dil bahlā nahīñ saktā
mujhe nafrat nahīñ pāzeb kī jhankār se lekin
abhī tāb-e-nashāt-e-raqs-e-mahfil lā nahīñ saktā
abhī hindostāñ ko ātishīñ naġhme sunāne do
abhī chiñgāriyoñ se barg-e-gul rañgīñ banāne do
mujhe nafrat nahin hai ishqiya ashaar se lekin
abhi in ko ghulamabad mein main ga nahin sakta
mujhe nafrat nahin hai husn-e-jannat-zar se lekin
abhi dozaKH mein is jannat se dil bahla nahin sakta
mujhe nafrat nahin pazeb ki jhankar se lekin
abhi tab-e-nashat-e-raqs-e-mahfil la nahin sakta
abhi hindostan ko aatishin naghme sunane do
abhi chingariyon se barg-e-gul rangin banane do
- Book : Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.