makan
ik pahāḌī kī ūñchī choTī par
maiñ banā.ūñgā ek aisā ghar
jis meñ chāroñ havā.eñ ā.eñgī
aur sandese na.e suna.eñgī
aa ke bād-e-junūb-o-bād-e-shimāl
Daal degī sunahrī niiñd kī shaal
shaam ko sej par sulā.egī
sub.h ko muñh mirā dhulā.egī
mashriqī aur maġhribī jhoñke
jild ko merī saaf kar deñge
aur jab is ghar meñ raat aa.egī
tīrgī chaar samt chhā.egī
jhiil hogī siyāh shab mad.hosh
chāñd aur phuul chup havā ḳhāmosh
to mirā ghar samāñ dikhā.egā
chāñd tāroñ meñ muskurā.egā
ek pahaDi ki unchi choTi par
main banaunga ek aisa ghar
jis mein chaaron hawaen aaengi
aur sandese nae sunaengi
aa ke baad-e-junub-o-baad-e-shimal
Dal degi sunahri nind ki shaal
sham ko sej par sulaegi
subh ko munh mera dhulaegi
mashriqi aur maghribi jhonke
jild ko meri saf kar denge
aur jab is ghar mein raat aaegi
tirgi chaar samt chhaegi
jhil hogi siyah shab madhosh
chand aur phul chup hawa KHamosh
to mera ghar saman dikhaega
chand taron mein muskuraega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.