makDi
agar makḌī dikhā.ī de
to Dartī hai mirī beTī
baḌā hī ḳhauf khātī hai
taqāzā mujh se kartī hai
ki us ko maar Dālūñ meñ
magar kuchh soch kar yaaro
uThā letā huuñ maiñ us ko
aur bāhar chhoḌ aatā huuñ
yahī makḌī thī ki jis ne
vo ġhār-e-saur meñ jaalā
thā kuchh aise banā Daalā
ki dushman bhī pahuñch kar vaañ
nahīñ un tak pahuñch paa.e
baḌā ehsāñ hai makḌī kā
musalmānān-e-ālam par
yahī kuchh soch kar yaaro
uThā letā huuñ maiñ us ko
aur bāhar chhoḌ aatā huuñ
agar makDi dikhai de
to Darti hai meri beTi
baDa hi KHauf khati hai
taqaza mujh se karti hai
ki us ko mar Dalun mein
magar kuchh soch kar yaro
uTha leta hun main us ko
aur bahar chhoD aata hun
yahi makDi thi ki jis ne
wo ghaar-e-saur mein jala
tha kuchh aise bana Dala
ki dushman bhi pahunch kar wan
nahin un tak pahunch pae
baDa ehsan hai makDi ka
musalmanan-e-alam par
yahi kuchh soch kar yaro
uTha leta hun main us ko
aur bahar chhoD aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.