maKHdum
Interesting Fact
(On the occasion of Makhdoom Mohiuddin's commemoration)
dhuum ghar ghar machī
mere maḳhdūm kī
allāh merī ḳhushī
niko pūchho sakhī
bel manDve chaḌhī
godāñ sab ke bharī
kaaj kī maiñ baḌī
aaj Dholak uḌī
mere maḳhdūm kī
tere pyāre vachan
hiire motiyāñ ratan
mahaktā kevḌe kā ban
halkī halkī chubhan
mīThī mīThī jalan
maiñ to vaarī ga.ī
mere maḳhdūm kī
chhoḌo chhoḌo sanam
tamannā merī qasam
niko atā karam
kis ko dete ho dam
maiñ na pālūñgī ġham
maiñ hindoḌī sahī
mere maḳhdūm kī
bātāñ us ke sakhī
jaise misrī Dalī
ghī meñ shakar ghulī
ghup añdhārī galī
jaise nekī khaḌī
mere maḳhdūm kī
dhum ghar ghar machi
mere maKHdum ki
allah meri KHushi
niko puchho sakhi
bel manDwe chaDhi
godan sab ke bhari
kaj ki main baDi
aaj Dholak uDi
mere maKHdum ki
tere pyare wachan
hire motiyan ratan
mahakta kewDe ka ban
halki halki chubhan
miThi miThi jalan
main to wari gai
mere maKHdum ki
chhoDo chhoDo sanam
tamanna meri qasam
niko ata karam
kis ko dete ho dam
main na palungi gham
main hindoDi sahi
mere maKHdum ki
baatan us ke sakhi
jaise misri Dali
ghi mein shakar ghuli
ghup andhaari gali
jaise neki khaDi
mere maKHdum ki
- Deewan-e-KHateeb Suleman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.