malal
tamām zī-rūh garmiyoñ se taḌap rahe the
baras rahā thā ajiib tishna-labī kā mausam
kisī ne rakkhā qarīb mere
gilās labrez pāniyoñ se
ki tū bujhā le pyaas apnī
bujhāne pyaas ik nahīf kavvā qarīb aayā
gilās par choñch us ne maarī
thā kāñch nāzuk
bikhar gayā TuuT kar
na maiñ pī sakā na vo pī sakā
hai jis kā aaj tak malāl dil ko
tamam zi-ruh garmiyon se taDap rahe the
baras raha tha ajib tishna-labi ka mausam
kisi ne rakkha qarib mere
gilas labrez paniyon se
ki tu bujha le pyas apni
bujhane pyas ek nahif kawwa qarib aaya
gilas par chonch us ne mari
tha kanch nazuk
bikhar gaya TuT kar
na main pi saka na wo pi saka
hai jis ka aaj tak malal dil ko
- Book : Izhaar ki faslain (Pg. 122)
- Author : wali madani
- Publication : Maktaba-e-sadaf (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.