malka-e-tarannum nur-e-jahan ki nazr
naġhma bhī hai udaas to sar bhī hai be-amāñ
rahne do kuchh to nuur añdheroñ ke darmiyāñ
ik umr jis ne chain diyā is jahān ko
lene do sukh kā saañs use bhī sar-e-jahāñ
tayyār kaun hai jo mujhe bāzuoñ meñ le
ik ye navā na ho to kaho jā.ūñ maiñ kahāñ
agle jahāñ se mujh ko yahī iḳhtilāf hai
ye sūrateñ ye giit sadā.eñ kahāñ vahāñ
ye hai azal se aur rahegā ye tā-abad
tum se na jal sakegā tarannum kā āshiyāñ
naghma bhi hai udas to sar bhi hai be-aman
rahne do kuchh to nur andheron ke darmiyan
ek umr jis ne chain diya is jahan ko
lene do sukh ka sans use bhi sar-e-jahan
tayyar kaun hai jo mujhe bazuon mein le
ek ye nawa na ho to kaho jaun main kahan
agle jahan se mujh ko yahi iKHtilaf hai
ye suraten ye git sadaen kahan wahan
ye hai azal se aur rahega ye ta-abad
tum se na jal sakega tarannum ka aashiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.